Skip to main content

SANAYE FATEMA ZAHRA (SA) BADA WAZIFA HAI

JANABE FATEMA ZAHRA (SA) WAHI AFEEFA HAI
QAYAMAT TAK JO NISWAA'N KE LIYE NAMONA HAI

KARE TAUHEEN ADAM(AS) KI JO BAAP HAI AWWAL
NABI KI SHAAN ME GUSTAAKH KA RAWAYYAH HAI

SANA KARTE HAI HAR ZEE ROOH APNE KHALIQ KA
ATAAY-E-RIZQ ME MERA KHUDA YAGANA HAI

NAHI KARTI TAFARRUQ AZ NABI KOI AAYAT
TAQAABUL JO KIYA IN KA BURA NATIJA HAI 

ZUBA KHARCHI NAHI CHALTI, AMAL BHI KAR KUCH
HAQEEQAT ME MUWADDAT KA YAHI TAQAAZA HAI

MERA KHALIQ MERA RAAZIQ MERA KHUDA HAI BAS
MUSALMAA TU BATA KAISA TERA AQEEDA HAI

BAHAK JAYE TERI BAKWAAS SUN KE HUM KAISE
HAMARE JEENE KA AISA NAHI SALIQAH HAI
     
SHARIYAT DEEN KI PAHLE SE HOGAYEE KAAMIL
NAYAA AHKAAM MULLA KA FAQAT IZAFA HAI

TARRAQEE KAR NAHI PAAEE RASOOL(SAW) KI UMMAT
ASAL SAARE FASAADO KI JADE SAQEEFA HAI.

BAHAS KARTE NAHI ZAKIR SE AAJKAL HUM BHI
HADISO ME, USE ULJHANE KA TAJURBA HAI  

PADHO AAYAT KHUDA KI TO HILA NAHI KARNA
YEH QURAA~ HI HIDAYAT KA BADAA ZARIYA HAI

KAHA RAAZIQ ALI (AS) HAI TU DUA BHI KAR IN SE
KHUDA SE MAANGNE KA KYA TERA BAHANA HAI

BANI AADAM MERA MURSAL KAHE JO MAAN LENA
NAHI GUMRAAH TU HOGA YE BAYAA KARIMA HAI

MUHARRAM AA GAYA KAPDE NAYE SILAAYE HAI
AZADARI BANI FASHION, NAYA ZAMANA HAI

NAHI ISKI NAHI USKI NAHI KISI KI SUN
TU PADH QURA'N YAHI AAYAT BADI KARIMA HAI

NAHI THA SHAAER MUJHE ASH'AAR SE LES KARAYA HAI
JAHA BATIL DEKHE MERA WAHA NISHANA HAI

PADHE JO MULAVI AAYAT KARE NAHI TAFSEER
BATAA KYA KHAAK RAKHTA ILM KA ZAKHEERA HAI

KHUSHAMAD ME MUREEDO KI MITA DIYA HAQ KO
HAYA THODA TO KAR SAR PAR TERE AMAAMA HAI

DIYA FATWA, NAHI WAJIB, NAMAZ-E-JUM'A AB
KIYA MUFTI NE KAISA BEYHUDA TAMASHA HAI

HUEE BADNAAM APNI QAUM JOON BANI RASME
JAWABO ME HAMARE PAAS NAHI HAWALA HAI

BADAL KAR BHES BAITHA HAI YAHAA WAHAA MULLA
BACHO TUM AAJ ISRAEEL KA SHIKANJA HAI

SALIQA SEEKH LE SAJJAD(S) SE AB DUA KA TU
SAHIFE KAMILA DEKHO BHARA KHAZANA HAI

PADEH WAWA KI MAJLIS JO, WAHI BADA AALIM
HAMARI QAUM ME YEH AAJ KA RAWAYYAH HAI

ILAQAAH DEKHKAR ZAKIR BANA LETA MAUZOO
YEH USKA AB NAYA CHAHRA NAYA TARIQA HAI

HUWA DAHSHAT GARD PAIDA JAHA SE AY DUNIYA
PATA HAI SAB KO ISKA NAAM TO SAQEEFA HAI

ALI AS JO FAZILAT HAI JO HONA NAHI CHAIYE KAM
BANAYA GAR TUMNE KHALIQ TO MERE BHAI YEH ZYADA HAI

PASEENE SE NABI KI KHILQATE NABI HOTI
BATAO WO KAUN SA PAIKAR KUJAA ZAMANA HAI

NAHI MALUM MAADDA NOOR KA BANA KAISE
KABHI NAAZIL KABI AZ NOOR KA FASANA HAI

WILADAT NOOR SE KAISE NAHI JO HAI MAADDA
KABHI NAAZIL KABHI AZ NOOR KA FASANA HAI

JALAAYA SAYYEDA(SA) KE DAR KO JISNE WO KAFIR
KOI BHOLA NAHI HAI DOSARA KHAIFA HAI
  
GAWAHEE MAANGATA KYA HAI ALI (AS) SE AY ZALIM
LIYA BAAGE FIDAK KIYO TU BADA KAMINA HAI
  
KABHI KARNA NAHI TASBEEHE FATEMA (AS) KO TARK
KHUDA KI RAAH PAANE KA YEH BHI WASEELA HAI

MILA RUTBA BADAA JO PANJATAN ME ZAHRA (AS) KO
TA'ARRUF CHADARE TATHEER KA NAGINA HAI

DUAAYE FATEMA (SA) DETI HAYAT DULHAN KO
SABAQ HUMKO MILA IN KI DUA KARISHMA HAI

FALAK SE NOORE ZAHRA KA NUZOOL HOTA HAI
ESEE BAES BAHUT HI SHAADMA KHADIJA A.S HAI

JAMA HOGAYE SAB MASOOM TO SADA AAEE
RIDAYE FATIMA S.A ZAHRA BAHUT KU

QASEEDA HAI MERA HAQ, NA LALAAO PABANDI
ADA KARNE DO MUJHKO JO MERA FARIZA HAI

SADAQAT KA QASIDA PADHTE HAI MUNAFIQ BHI
SANAYE FATEMA ZAHRA (SA) BADA WAZIFA HAI 

SIWA MASJID KE YE MAHSOOS HOGAYA HYDER
KOI JANGAL,KOI MAQTAL KOI KANEESA HAI

Popular posts from this blog

Kya Rahib aur fitrus farishta ka waqia sahih hai?

क्या फरिश्ता फितरुस और राहिब का वाक्य सही है? کیا فرشتہ فطرس اور راہب کا واقعہ صحیح ہے؟ Kya Rahib aur fitrus farishta ka waqia sahih hai? Yeh sawal hum ne Grand Ayatullah Shaikh Muhammad Hussain Najafi se December 2012 me kiya tha, unka jawab yaha attached kiya gaya hai Waqia of Fitrus:  When Imam Husain (AS) was born, Allah sent down the angel Jibrail (AS) to congratulate the family.On the way down from the heavens angel Jibrail (AS) passed an island, on which the angel Fitrus was sent to by Allah because he had been naughty. Fitrus had also had his wings taken away by Allah.When Fitrus saw Jibrail (AS) he asked him where he was going. Jibrail (AS) told him that he was going to congratulate the Holy Prophet (SAW) and his family on the birth of Imam Husain (AS).Fitrus asked if he could also go with him. Jibrail (AS) agreed with the permission of Allah and so carried him down to earth.When the angels reached the Holy Prophet (SAW) and congratulated him and his fa...

Shahadat of Ameerul Ali ibne Abi Talib (a.s.) - A Nation's Loss

As-Suyuti (Shafi’i scholar) relates that Holy Prophet (s.a.w.s.) said: Love of Ali is faith, and enmity towards him is sedition. (Kanzu 'l-`ummal. In as-Suyuti, Jam`u 'l-jawami `, vol.6, p.156) It was 19th of Ramadhan 41 Hijri while Ameerul Momineen Ali ibne Abi Talib (a.s.) was leading the morning prayers and was in the second sajdah of the 2nd Rakaat that Ibne Muljim’s (l.a.) sword fell and subsequently the life of the greatest warrior saint was taken away to his merciful Lord. This was the time when Ameerul Momineen Ali ibne Abi Talib (a.s.) uttered his famous words : "Fuzto be rabbil Kaaba" - "By the Rab of Kaaba, I am successful". The crime of assassinating Ameerul Momineen Ali ibne Abi Talib (a.s.) remains one of the most cruel, brutal and hideous, because it was not committed against one man, but against the whole rational Islamic leadership. By assassinating Ameerul Momineen Ali ibne Abi Talib (a.s.), they actually aimed at ass...

Inna lillahe wa inna lillahe rajeoon

INNA LILLAHI WA INNA ALAIHI RAJEOON "Surely We Belong To Allah and to Him Shall We Return" Surah 2: 156 Baani of 18th safar julus, Haji Sayyed Mukhtar Hussain Ibne Izhar Hussain at the age of 71, expired ( Natural Death) on Friday  25th September 2020, 7th Safar 1442, this morning at his own residence.  Tadfeen has been completed at rahmatabad kabrastan Mumbai. Request you to please recite Surah e Fateha, Dua e Maghferat &  Namaz e Wahshat and pray for his Maghfirat, May Allah (swt) grant him a place near the vicinity of 14 Masoomeen (as) and give patience to his family members, relatives and friends.  Inshaallah Teeje ki Majlis Sunday 10 am hogi. Address 11/2 Sai Colony Gate no.7, Malwani Malad West Mumbai 400095. Today also the date of Death of Salman al-Farsi, yr 36 AH