Duniya Me Wat Se Jeete Hai, Uqba Me Bhi Hai Bindas
Apun Ko Kya Wanda Chute, Apna Ali(As) Sa Maula Hai
Aur Jisne Ali Se Nashtar Leli, Duniya Uski Gayee Patel
Uqba Me Bhi Khaat Khadi Hai, Kaun Bachane Wala Hai
Khayber Me Marhab Ki Supari, Di Thi Payamber Ne Sab Ko
Jo Spot Lagane Nikla, Bhagtoot Bhag Ke Aya Hai
Khadaq Me Jab Un Se Ladne, Sare Tapori Ekja The.
Fielding Kaisi Lagayee Dekho, Kaisa Game Bajaya Hai.
Aur Dekh Me Maidan Me Marhab Ko Kahti Thi Yeh Uski Qaza
Patli Gali Se Phutle Shane, Sher Khuda Ka Dikraha Hai.
Bhai Bana Aaya Tha Marhab, Bolbachan The Hard Bahut.
Robe Ali(As) Se Sitti Ghum Hai, Raakh Batuale Bhula Hai.
Aur Billi Tapkaate The Munafiq The Aayee Ali(As) Ko Jab Khunnas,
Aisa Bajaya Kaan Ke Niche, Anjer Panjar Dhila Hai.
Kahta Hoon Mai Jisko Munafiq, Who Kuffar Ka Khabri Hai
Pure Pedh Ki Waat Lagade, Aisa Damis Keeda Hai
Khyber Me Kul Lashkare Marhab Tha Samaan Liye Tayyer
Le Ke Jo Lambi Nikle Maula, Saara Lashkar Bhaga Hai
Deene Khuda Ki Asli Surat, Ahad Me Hai Bas Maula Ke
Baqi Sab Ke Daur Me Dekho, Kitna Locha Labacha Hai
Inke Unke Zikr Se Yara, Hoti Hai Mastak Ki Dahi
Kar Ke To Dheko Zikr Ali (As) Ka, Kitna Achcha Lagta Hai
Tum Hi Batao Kis Dil Se, De Dete Payamber Un Ko Alam
Piche Se Kalti Hojana Jin Ka Purana Dhandha Hai
Phukat Jannat Chahne Wale, Hapte Kaapte Pahuche Jab
Bole Nabi Salmaan Apumko Ko Pahlehich Bulela Hai - shaoor azmi