1. Aaj Ki Mahfil Se Momin Ka Huwa Dil Shaad Hai
Qaule Zainul Aabedee'N Yaa'N Tohfaye Milaad Hai.
2. Daawa-Ey Imaaa Hai Gar, Sidqe Dil Se Kar Amal
Naam Ka Momin Yaha Jo Hai Waha Barbaad Hai
3. Gulshane Islaam Ki Shadabiyon Ke Bugz Me
Hai Kahi Wahshee Darende Aur Kahi Sayyad Hai
4. Nampalli Yu To Markaz Ban Gayaa Hai Fitne Ka
Aaj Qaayem Firqebaazi Ki Waha Bunyaad Hai
5. Jo Kitabo Me Likha Hai Wo Nahi Padhta Koi.
Maankar Mulla Ki, Yeh Millat Huyee Barabaad Hai.
6. Maqsade Sarwar Ka Achcha Dars Hum Sab Ko Mila
Taarekh-E-Islaam Ka Zaakir Badaa Ustaad Hai.
7. Chodkar Itrat Ko Quraa Na Samajh Paya La-Ee
Is Wazah Salmaan Rushdi Aaj Murdabaad Hai
8. Do Qabilo Ka Hai Sangam Dekhiye Arbo Ajam
Bas Isee Ba'Is Yeh Duniya Aaj Bhi Abaad Hai
9. Puchta Kya Hai Haqiqat Aabido Ma'Bood Ki
Padh Sahife Kamela Tu Yeh Badi Asnaad Hai
10. Jab Musibat Aa Padi, To Sabr Karte Hai Magar
Na Shikayat Ki Khuda Se Na Kaha Faryaad Hai
11. Mojeza Maula Ka Dekho Aagaye Tadfeen Ko
Hai Aseer-E-Gam Nazar Me Bateni Azaad Hai
12. Tu Phasa Hai Uljhano Me Haat Kuch Ata Nahi
Be Wilaye Ale-E-Ahmad Zindagi Kab Shaad Hai
12. sun ke batein log kahte hai wahabi ho gaya
jo hidaya paee hum ne wo khuda ki daad hai
12. Qillate khushboo hai kiyo yeh gulshane tauheed se
phool kya itna khila jina ke iste'adaad hai
12. Paas rakh kaufo rajaa phir apne rab se kar dua
Mustajaabat ki sanad qur'aan ka irshaad hai
13. Padh Chuka Jab Mai Sahife Kamela Tu Yeh Mila
Aabaro Sajdo Ki Zikre Sayyade Sajjad Hai
14. Naam Hyder Ka Kiya Badnaam Logo Ne Bahut
Dekhiye Wo Aaj Bhi Zeeshan Hai Shamshad Hai