1. Askari ke noor se purnoor hai duniya bahut
Chehra-e-Momin isi mauqe pe hai khilta bahut
2. Haq bayani se kabhi wo shaks katrata nahi
apne qaulo fel ka hota hai jo sachcha bahut
3. Tu chune ustaad achacha apne bachcho ke liye
Mulavi parkha nahi jo qaum ka khasa bahut
4. Jiska qura'n aur itrat se nahi kuch wasta
Darbadar wo thokaren khata nazar aya bahut
6. Hai tamanna dil me aankhe muntazir maula teri
Askari ke lal ka deedar ho thoda bahut
7. Jab khuda ek aur nabi quraan kaba sab hai ek
Kyo musalmaan hai bata aur kyo bana firqa bahut
8. Ki aqeede ki hifazat, khushksaali khatam ki
Askari(a) ka bhi rahega hashr tak charcha bahut
(ban-e- misra tahseen )
9. De Khuda Taufeeq, Hyder ke Qalam ko Beshumaar
Shaane Maula me Qaseeda jo Raqam karta bahut