Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2012

SANAYE FATEMA ZAHRA (SA) BADA WAZIFA HAI

JANABE FATEMA ZAHRA (SA) WAHI AFEEFA HAI QAYAMAT TAK JO NISWAA'N KE LIYE NAMONA HAI KARE TAUHEEN ADAM(AS) KI JO BAAP HAI AWWAL NABI KI SHAAN ME GUSTAAKH KA RAWAYYAH HAI SANA KARTE HAI HAR ZEE ROOH APNE KHALIQ KA ATAAY-E-RIZQ ME MERA KHUDA YAGANA HAI NAHI KARTI TAFARRUQ AZ NABI KOI AAYAT TAQAABUL JO KIYA IN KA BURA NATIJA HAI  ZUBA KHARCHI NAHI CHALTI, AMAL BHI KAR KUCH HAQEEQAT ME MUWADDAT KA YAHI TAQAAZA HAI MERA KHALIQ MERA RAAZIQ MERA KHUDA HAI BAS MUSALMAA TU BATA KAISA TERA AQEEDA HAI BAHAK JAYE TERI BAKWAAS SUN KE HUM KAISE HAMARE JEENE KA AISA NAHI SALIQAH HAI       SHARIYAT DEEN KI PAHLE SE HOGAYEE KAAMIL NAYAA AHKAAM MULLA KA FAQAT IZAFA HAI TARRAQEE KAR NAHI PAAEE RASOOL(SAW) KI UMMAT ASAL SAARE FASAADO KI JADE SAQEEFA HAI. BAHAS KARTE NAHI ZAKIR SE AAJKAL HUM BHI HADISO ME, USE ULJHANE KA TAJURBA HAI   PADHO AAYAT KHUDA KI TO HILA NAHI KARNA YEH QURAA~ HI HIDAYAT KA BADAA ZARIYA HAI KAHA RAAZIQ ALI (AS) HAI TU DUA BHI KAR IN SE KHUDA S...

Aabaro Sajdo Ki Zikre Sayyade Sajjad Hai

1. Aaj Ki Mahfil Se Momin Ka Huwa Dil Shaad Hai    Qaule Zainul Aabedee'N Yaa'N Tohfaye Milaad Hai.       2. Daawa-Ey Imaaa Hai Gar, Sidqe Dil Se Kar Amal    Naam Ka Momin Yaha Jo Hai Waha Barbaad Hai    3. Gulshane Islaam Ki Shadabiyon Ke Bugz Me    Hai Kahi Wahshee Darende Aur Kahi Sayyad Hai    4. Nampalli Yu To Markaz Ban Gayaa Hai Fitne Ka    Aaj Qaayem Firqebaazi Ki Waha Bunyaad Hai    5. Jo Kitabo Me Likha Hai Wo Nahi Padhta Koi.    Maankar Mulla Ki, Yeh Millat Huyee Barabaad Hai. 6. Maqsade Sarwar Ka Achcha Dars Hum Sab Ko Mila    Taarekh-E-Islaam Ka Zaakir Badaa Ustaad Hai. 7. Chodkar Itrat Ko Quraa Na Samajh Paya La-Ee    Is Wazah Salmaan Rushdi Aaj Murdabaad Hai       8. Do Qabilo Ka Hai Sangam Dekhiye Arbo Ajam    Bas Isee Ba'Is Yeh Duniya Aaj Bhi Abaad Hai    9. Puchta Kya Hai Haqiqat Aabido Ma'Bood Ki ...

Askari ke noor se purnoor hai duniya bahut

1. Askari ke noor se purnoor hai duniya bahut    Chehra-e-Momin isi mauqe pe hai khilta bahut 2. Haq bayani se kabhi wo shaks katrata nahi    apne qaulo fel ka hota hai jo sachcha bahut 3. Tu chune ustaad achacha apne bachcho ke liye    Mulavi parkha nahi jo qaum ka khasa bahut    4. Jiska qura'n aur itrat se nahi kuch wasta    Darbadar wo thokaren khata nazar aya bahut     6. Hai tamanna dil me aankhe muntazir maula teri    Askari ke lal ka deedar ho thoda bahut       7. Jab khuda ek aur nabi quraan kaba sab hai ek    Kyo musalmaan hai bata aur kyo bana firqa bahut    8. Ki aqeede ki hifazat, khushksaali khatam ki    Askari(a) ka bhi rahega hashr tak charcha bahut    (ban-e- misra tahseen )    9. De Khuda Taufeeq, Hyder ke Qalam ko Beshumaar    Shaane Maula me Qaseeda jo Raqam karta bahut

Khayber Me Marhab Ki Supari, Di Thi Payamber Ne Sab Ko

Duniya Me Wat Se Jeete Hai, Uqba Me Bhi Hai Bindas Apun Ko Kya Wanda Chute, Apna Ali(As) Sa Maula Hai Aur Jisne Ali Se Nashtar Leli, Duniya Uski Gayee Patel Uqba Me Bhi Khaat Khadi Hai, Kaun Bachane Wala Hai Khayber Me Marhab Ki Supari, Di Thi Payamber Ne Sab Ko Jo Spot Lagane Nikla, Bhagtoot Bhag Ke Aya Hai Khadaq Me Jab Un Se Ladne, Sare Tapori Ekja The. Fielding Kaisi Lagayee Dekho, Kaisa Game Bajaya Hai. Aur Dekh Me Maidan Me Marhab Ko Kahti Thi Yeh Uski Qaza Patli Gali Se Phutle Shane, Sher Khuda Ka Dikraha Hai. Bhai Bana Aaya Tha Marhab, Bolbachan The Hard Bahut. Robe Ali(As) Se Sitti Ghum Hai, Raakh Batuale Bhula Hai. Aur Billi Tapkaate The Munafiq The Aayee Ali(As) Ko Jab Khunnas, Aisa Bajaya Kaan Ke Niche, Anjer Panjar Dhila Hai. Kahta Hoon Mai Jisko Munafiq, Who Kuffar Ka Khabri Hai Pure Pedh Ki Waat Lagade, Aisa Damis Keeda Hai Khyber Me Kul Lashkare Marhab Tha Samaan Liye Tayyer Le Ke Jo Lambi Nikle Maula, Saara Lashkar Bhaga Hai Deene Khuda Ki Asli Surat, Ahad Me Hai Bas ...