Skip to main content

Aayato ke lab be bhi madh o sana zahra (SA) ki hai

Aayato Ke Lab Pe Bhi Madh O Sana Zahra (Sa) Ki Hai

 

1

Aaj Ki Mehfil Nabi Ki Mahlaqaa Zahra Ki Hai

Yani Ye Makhsoos Midhat-E-Sayyeda Zahra Ki Hai

 

2

Mehfil-E-Pur Noor Bint-E-Mustufa Zahra Ki Hai

Ba Adab Baitho Yaha Jaari Sana Zahra Ki Hai

 

3

Bizatum Minni Pidar Jisko Kahe Wo Dahar Me

Aaj Nazil Ho Gayee Yeh Ibteda Zahra Ki Hai

 

4

Itrat-O-Quraa Se Jiski Ho Gayee Wabastagi

Roze Mahshar Us Ki Qismat Me Shifa Zahra Ki Hai

 

5

Cheh Mahine Tak Musalsal Ye Batathe The Nabi

Aaya-Ye-Tatheer Ki Zamin Rida Zahra Ki Hai

 

6

Ay Yahoodi Kar Le Koshish Har Tarah Ke Makar Se

Mit Nahi Sakte Hussaini Ye Dua Zahra Ki Hai

 

7

Padhte Hain Tasbihe Zahra Hum Jo Baade Har Namaz

Ye Ibadat Ka Saleeqa Ibteda Zahra Ki Hai

 

8

Wo Itaa'At, Wo Qana'At Wo Wafa Hai La Misaal

Apne Shauhar Ke Liye Jaisee Wafa Zahra Ki Hai

 

9

Farsh Yu To Hum Bichate Hai Aqeedat Se Magar

Haq Bayani Ho Jaha Wo Farshe Aza Zahra Ki Hai

 

10

Martaba Hai Be Misl Jis Ka Do Jahaa Ke Waste

Dekh Wo Jannat Zamine Karbala Zahra Ki Hai

 

11

Sharm Ki Batein Hai, Bazaro Me Be Parda Rahe

Aabaroo Tum Qaum Ki Ho, Ye Fugaa' Zahra Ki Hai

 

12

Panjatan Ki Madah Me Aata Hai Sure Hal Ata

Roti Dete Hain Jo Ba Naam-E-Khuda Zahra Ki Hai

 

13

Chod Kar Malik Ko Apne, Bandagi Jo Karta Hai

Aise Bande Ke Liye Hi Bad Dua Zahra Ki Hai

 

14

Ta Qayamat Jhuk Nahi Sakta Hai Gaazi Ka Alam

Parchame Abbas Ko chooti, Hawa Zahra Ki Hai.

 

15

Ek Bahan Ne Jis Tarah Se Farz Poora Kardiya

Fatema Kubra Me Dekho Wo Ziya Zahra Ki Hai

 

16

Binte Ahmad Se Gawahee Maangne Wale Samajh

Haq Bayani Haq Hai Ke Tujh Se Juda Zahra Ki Hai

 

17

Kiyo Na Sardare Jina Shabbir O Shabbar Honge

Parwarish Ahmad Ne Ki, Aur Maamta Zahra Ki Hai

 

18

Hashr Ke Din Duno Ka Saya Hame Mil Jayega

Ek Alam Gaazi Ka Aur Ek Rida Zahra Ki Hai

 

19

Yu To Karte Hain Nabi (Saw) Taazeem Beti Ki Bahut

Aayato Ke Lab Pe Bhi Madh O Sana Zahra (Sa) Ki Hai

 

20

Jannatul Firdaus Me Ghar Kar Ata Zeeshan Ko

Ay Khuda Iske Qaside Me Wila Zahra Ki Hai

Popular posts from this blog

Kya Rahib aur fitrus farishta ka waqia sahih hai?

क्या फरिश्ता फितरुस और राहिब का वाक्य सही है? کیا فرشتہ فطرس اور راہب کا واقعہ صحیح ہے؟ Kya Rahib aur fitrus farishta ka waqia sahih hai? Yeh sawal hum ne Grand Ayatullah Shaikh Muhammad Hussain Najafi se December 2012 me kiya tha, unka jawab yaha attached kiya gaya hai Waqia of Fitrus:  When Imam Husain (AS) was born, Allah sent down the angel Jibrail (AS) to congratulate the family.On the way down from the heavens angel Jibrail (AS) passed an island, on which the angel Fitrus was sent to by Allah because he had been naughty. Fitrus had also had his wings taken away by Allah.When Fitrus saw Jibrail (AS) he asked him where he was going. Jibrail (AS) told him that he was going to congratulate the Holy Prophet (SAW) and his family on the birth of Imam Husain (AS).Fitrus asked if he could also go with him. Jibrail (AS) agreed with the permission of Allah and so carried him down to earth.When the angels reached the Holy Prophet (SAW) and congratulated him and his family

Khaliq aur Raziq khuda ke siwa koi nahi - gulu karne wala ko muh tod jawab

For praying DUA (eg: help/dua/hajat/rizq/aulad etc), which is correct answer according to Hadith and Quran? 1. Asking directly from Allah (SWT) with the Waseela of Masoomeen (A.S) 2. Asking directly Masoomeen (A.S) (of course Allah is the main source) 3. Both options are correct Kaun Dua Qabool karta hai?: Tumhare Rab ne farmaya hai Mujhe pukaaro mai Tumhari Dua qabool karonga beshak jo log meri ibaadat sarkashi karte hain, anqareeb wo zaleel hokar dozakh me dakhil honge. (40:60) Allah(SWT) ne farmaya char khaslate hain jin me se ek mere liya hai, ek tere liye hai, ek tere aur mere darmiyan hai aur ek tere darmiya aur mere dosre bando ke darmiya. 1. Jo khaas mere liya hai wo to yeh hai ke meri hi ibadat kar aur mere saath shareekna kar. 2. Aur jo tera haq mujh par hai wo yeh ke tere har amal-e-khair ka bharpoor badla mai tujhe dunga. 3. Aur jo tere mere darmiya hai wo DUA kar, mai qabool kiya karonga 4. aur chauti khaslat jo tere aur m

The Prophet Crying For Imam al-Husain

The Prophet Crying For Imam al-Husain ===================================== Narrated Salma:        "I went to visit Umm Salamah and found her weeping. I asked her what      was making her weep and she replied that she had seen Allah's                                               ^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^      Messenger (PBUH&HF) (meaning in a dream) with dust on his head and      ^^^^^^^^^^                               ^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^      beard. She asked him what was the matter and he replied, `I have just      ^^^^^      been present at the slaying of al-Husayn.'"   - Sahih Tirmidhi, per: - Mishkat al-Masabih, by Khatib al-Tabrizi, English Version, Tdadition #6157   Narrated Abdullah Ibn Abbas:        One day at midday he saw in a dream the Prophet (PBUH&HF) dishevelled                                          ^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^      and dusty w