Aayato Ke Lab Pe Bhi Madh O Sana Zahra (Sa) Ki Hai
1
Aaj Ki Mehfil Nabi Ki Mahlaqaa Zahra Ki Hai
Yani Ye Makhsoos Midhat-E-Sayyeda Zahra Ki Hai
2
Mehfil-E-Pur Noor Bint-E-Mustufa Zahra Ki Hai
Ba Adab Baitho Yaha Jaari Sana Zahra Ki Hai
3
Bizatum Minni Pidar Jisko Kahe Wo Dahar Me
Aaj Nazil Ho Gayee Yeh Ibteda Zahra Ki Hai
4
Itrat-O-Quraa Se Jiski Ho Gayee Wabastagi
Roze Mahshar Us Ki Qismat Me Shifa Zahra Ki Hai
5
Cheh Mahine Tak Musalsal Ye Batathe The Nabi
Aaya-Ye-Tatheer Ki Zamin Rida Zahra Ki Hai
6
Ay Yahoodi Kar Le Koshish Har Tarah Ke Makar Se
Mit Nahi Sakte Hussaini Ye Dua Zahra Ki Hai
7
Padhte Hain Tasbihe Zahra Hum Jo Baade Har Namaz
Ye Ibadat Ka Saleeqa Ibteda Zahra Ki Hai
8
Wo Itaa'At, Wo Qana'At Wo Wafa Hai La Misaal
Apne Shauhar Ke Liye Jaisee Wafa Zahra Ki Hai
9
Farsh Yu To Hum Bichate Hai Aqeedat Se Magar
Haq Bayani Ho Jaha Wo Farshe Aza Zahra Ki Hai
10
Martaba Hai Be Misl Jis Ka Do Jahaa Ke Waste
Dekh Wo Jannat Zamine Karbala Zahra Ki Hai
11
Sharm Ki Batein Hai, Bazaro Me Be Parda Rahe
Aabaroo Tum Qaum Ki Ho, Ye Fugaa' Zahra Ki Hai
12
Panjatan Ki Madah Me Aata Hai Sure Hal Ata
Roti Dete Hain Jo Ba Naam-E-Khuda Zahra Ki Hai
13
Chod Kar Malik Ko Apne, Bandagi Jo Karta Hai
Aise Bande Ke Liye Hi Bad Dua Zahra Ki Hai
14
Ta Qayamat Jhuk Nahi Sakta Hai Gaazi Ka Alam
Parchame Abbas Ko chooti, Hawa Zahra Ki Hai.
15
Ek Bahan Ne Jis Tarah Se Farz Poora Kardiya
Fatema Kubra Me Dekho Wo Ziya Zahra Ki Hai
16
Binte Ahmad Se Gawahee Maangne Wale Samajh
Haq Bayani Haq Hai Ke Tujh Se Juda Zahra Ki Hai
17
Kiyo Na Sardare Jina Shabbir O Shabbar Honge
Parwarish Ahmad Ne Ki, Aur Maamta Zahra Ki Hai
18
Hashr Ke Din Duno Ka Saya Hame Mil Jayega
Ek Alam Gaazi Ka Aur Ek Rida Zahra Ki Hai
19
Yu To Karte Hain Nabi (Saw) Taazeem Beti Ki Bahut
Aayato Ke Lab Pe Bhi Madh O Sana Zahra (Sa) Ki Hai
20
Jannatul Firdaus Me Ghar Kar Ata Zeeshan Ko
Ay Khuda Iske Qaside Me Wila Zahra Ki Hai