Skip to main content

Khaliq aur Raziq khuda ke siwa koi nahi - gulu karne wala ko muh tod jawab





For praying DUA (eg: help/dua/hajat/rizq/aulad etc), which is correct answer according to Hadith and Quran?

1. Asking directly from Allah (SWT) with the Waseela of Masoomeen (A.S)
2. Asking directly Masoomeen (A.S) (of course Allah is the main source)
3. Both options are correct



Kaun Dua Qabool karta hai?:

Tumhare Rab ne farmaya hai Mujhe pukaaro mai Tumhari Dua qabool karonga beshak jo log meri ibaadat sarkashi karte hain, anqareeb wo zaleel hokar dozakh me dakhil honge. (40:60)

Allah(SWT) ne farmaya char khaslate hain jin me se
ek mere liya hai, ek tere liye hai, ek tere aur mere darmiyan hai aur ek tere darmiya aur mere dosre bando ke darmiya.

1. Jo khaas mere liya hai wo to yeh hai ke meri hi ibadat kar aur mere saath shareekna kar. 2. Aur jo tera haq mujh par hai wo yeh ke tere har amal-e-khair ka bharpoor badla mai tujhe dunga.
3. Aur jo tere mere darmiya hai wo DUA kar, mai qabool kiya karonga
4. aur chauti khaslat jo tere aur mere dosre bando ke darmiyan hai wo ye hai ke to un ke liye wo chah jo apne liye pasand rakhta hai.(Ibne Kaseer)


Refer to the commentary of Baqarah: 186, particularly Imam Ali's opinion. The Arabic word du-a means call, request, supplication, invitation, invocation or prayer.

Allah has given man permission to invoke Him. In all du-as request is made to Allah alone, but through the wasilah (means of approach)-the Holy Prophet and his Ahl ul Bayt
These Dua-as are also a proof of our pure faith in the "One and Only" Allah.

Kaun hai jo Dua qabool karta hai:

Bhala kaun hai jo beqararo ki dua qabool karta hai aur aur burai ko door karta hai aur tumhe zameen me naib banata hai kya ALLAH ke saath koi aur ma'boot bhi hai? Tum bahut hi kam samajhte ho - (27:62)
(Farman Ali ki tafseer : Hadith me hai ke jab Imam(atfs) zuhoor karenge to yeh dua padhege.)


Khasale Sheikh-e-Sadooq:

Imam Jafar Sadiq (A.S): Teen bato ki wajah se dua qabool hoti hai 1) Jab tera jism kaapne lage 2) Ansoo nikalne lage 3) Tera dil darne lage to is waqt khuda se ruju kar, to tera teer nishane par lagega (Teri dua qabool hogi)

Imam Jafar Sadiq (A.S) farmaya admi is waqt tak mushrik nahi hota hai jab Allah (SWT) ka naam liye bagair namaz padhe ya Allah(SWT) ke naam ke bagair zebah kare Ya Gair-e-Khuda ke Aage Dua mange.



Waseela in Quran:

Ay Iman walo Allah(SWT) se daro aur is ki taraf waseela dhondo aur is ki rah me jehad karo is umeed par ke falah paao (5:35)
The Holy Prophet said: I and Ali are from one divine light. I will soon be called back, so I will have to go away from you, but I leave behind, amid you, the thaqalayn (two weighty indispensable influential authorities), the book of Allah and my Ahl ul Bayt. Should you be attached to these two, never, never shall you go astray, after me, for verily these two will never be separated from each other; and, joined together, they shall meet me at the spring of Kawthar.


Tafseer-e-Namoona:

-Logwi mafhoom ke lehaz se har chiz jo taqarrub-e-Ilahi ka sabab bane, "Waseela" hai.
-Har nek insaan ko bargah-e-khuda me waseela qarar dena mana nahi nahi hai (see also 4:64)

Hazrat Ali (a.s) Nahjul balagha me farmate hai:

Bahtareen cheez ke zariye aur waseele se taqarrub-e-Ilahi hasil ho sakta hai wo khuda aur is ke paigamber(a.s) par imaan lana aur jihad karna hai jo hisaar-e-islam ki choti hai. Isee trah jumla-eIkhlaas (La ilaha Illah) ke jo wahi fitrat-e-tauheed hai aur namaz qaim karna ke jo Aain-e-Islam hai aur zakat ke jo wajib fariza hai aur MAHE RAMADHAN ke roze ke jo gunah aur azaab-e-khuda ke samne sifar hain, hajj-o-umrah ke faqr-o-faqaa aur pareshani ko door karta hai aur gunaho ko dho dalte hai aur SILAH RAHMI ke jo maal-o-sarwat ko zyada aur zindagi ko taweel karta hai aur makhfi tuar par kharch karna ke jo gunaho ki talaafi ka ba'es banta hai aur zahiri taur par kharch karna ke jo nagahani aur buri maut se door karta hai aur nek ke jo insaan ko zillat-o-khari ke gadhe me girne se bachate hain (ye sab taqarrub-e-Ilahi ka waseela hai ).

-Hazrat Adam(A.S): Khuda wanda ! Behaq-e-Muhammad(SAW) tujhse darkhast karta ho ke mujhe Bakhsh de.

-Ek nabine bimari ki shafa ke liye paigamber-e-Akram se dua ki darkhast ki to paigamber-e-Akram ne ise hukm diya ke is tarah dua karo:

Khudaya mai tujhse tere nabi paigamber jo nabi rahmat hai ke sadqe me sawal karta ho aur teri mutawajjah karta ho, Ay Muhammad(SAW) mai Ap ke waseele se apni hajat rawaee ke liye apne parwardigaar ki taraf mutawajah hota ho, Khudaya unhe mera shafi'e qarar de (ref: Wafa-ul-wafah)

Kutch Qabil-e-Tawajah batein:

Jaisa ke hum kah chuke hain ke tawassul se murad yeh nahi ke koi shakhs Paigamber ya Aimma(a.s) se hajat talb kare balke maqsad yeh hai ke unke muqam-o-manjilat ko bargah-e-khuda me rabte ka waseela qarar de

GAALI wo hote hain jo Paigamber YA Imam (A.S), me sifate khuda ke Qaael hain aur unme se kutch khuda aur Imam ko ek hi samajhte hai.

Nahjul Balagah me Imam Ali (a.s) farmate hai: Mere silsile me do tarah ke log halaq hogayenge ek wo jo mujh se dosti me zayada ravi kare (badh jana) aur dosre wo jo meri dushmani me meri azmat kam kare.

Rasool Allah (SAW):

1. Kisi ko bhi hargiz gaali na do, maine ajtak kisi insaan ko balke janwar ko bhi gaali nahi diya.
(Aj kal log Marja ko gali bakte hai)

2. Meri ummat me shirk is tarah phailega jis tarah kaali raat me kale matke par kali chooti(ants) chalti hai.

Imam Jafar Sadiq (A.S):
Wo thodi si cheeze hai jis se insaan imaan se nikal jata hai wo yeh ke wo GAALI ki mohabbat me baithe aur is ki baat sun ke tasdeeq kare, mere walid Imam Mohammad Baqar (a.s) ne farmaya, ke bayan kiya mujhse mere walid Imam Zain-ul-Abedeen (a.s) ne, An hazarat ne farmaya ke bayan kiya mujhse mere jad amjad ne ke Rasool Allah (SAW) ne farmaya ke meri ummat ke do hisse hain jin ka islam se koi rabata nahi hai wo GAALI aur QUDRIYEH hain.  Aur do sanaf aise hain jin ka islam se koi rabata nahi wo MURJIYE aur QUDRIYEH hain.

GAALI: wo hote hain jo Paigamber ya Imam (A.S), me sifate khuda ke Qaael hain aur un me se kutch khuda aur Imam ko ek hi samajhte hai.

QUDRIYEH : wo log hai jo JABR ya tafweez ke Qaael hain.

MURJIYE: Murjiye Mo'tazalah ka ek group hai jo momin-o-kafir ke darmiyan ek aur qism ke group ko mante hai jin ki nijaat mashiyat-e-khuda par mauqoof samajhte hain aur un ke halaat ki kaifiyaat ka inhesaar akhrat ke din par hai. (KHASAL-e-SHEIKH SADOOQ)


Galio ki mazammat me Sheikh sadooq farmate hai ke Imam Raza (A.S) apni Dua me arz karte the:

Ilahi mai teri dargah me iqrar-e-bara'at karta hoo quwat-o-taqat se, Qudrat aur taqat tere siwa aur kisi ko hasil nahi hai. Khudaya mai tere samne iqarare bezari karta ho aur un logo se jo hamare bare me wo batein kahte hai jo hum apne nafso me nahi paate hain. Ay mere Allah to hi Khaliq hai aur to hi hakeem hai, teri hi hum ibaadat karte hain aur tujh hi se madad chahte hai. Alaahi to hi hamara aur hamare ajdad awwaleen-o-akhareen ka khaliq hai. Ay Allah RAB hone ki sifat teri hi laiq hai, ma'boot hone ka to hi swaleh to hi hai. Pas to lanat kar un nasara par jin hone teri azmat ko ghataya aur lanat kar un logo par jo teri makhlooq me se ba'az ko tera mushabeh kahte hai. Khudaya hum tere bande hain aur tere bando ke farzand hain. Hum apne zarar aur nafa aur maut aur zindagi aur dobara zinda hone par qaboo nahi rakhte hai. Ay mere Allah jis ka za'am (Khayal) batil ye hai ke hum PAIDA karte hain aur hum rozi dete hain to hum is se bezaar hain jis tarah Hazrat Esa bin Maryam(a.s) nasaara se bezaar the. Khudaya hum ne un ko dawat nahi di hai es Aqeede ki taraf jo in ka gumaan hai. Khudaya to un ki bato ka hum se mawakhaza (sawaal) na karna aur un ki bad gumaniyo ko hum se maaf rakh. Ay mere RAB to zameen par kisee kafir ko zinda na chod ke agar tu unko zinda chodega tu ye tere bando ko gumrah kardenge aur sakht kafir aur badkaar unki aulaade hongee. (Aqaid-e-Sheikhe Sadooq, Page no 90-91)

Imam Zamana (atfs):

"Sirf Khuda wandalam ne hi jismo ko khalq kiya hai aur is ne un ko rozi taqseem ki hai, kiyoke wo jism ya jism me samane wala nahi hai, koi cheez is ke MISL nahi hai, wo sunne wala aur AALAM hai, lekin jab Aimma masoomeen (A.S) Khuda se kisi cheez ki darkaast karte hain to khuda is ko KHALQ karta hai, wo jab khuda se talb karte hai to wo un ko ATAA kar deta hai, Khuda ye kaam isliye karta hai ke is ne apne liye zarori qarar diya hai ke un hazraat ki DUA ko qabool kare aur un ki SHAAN ko baland farmaye"

Imam-e-Zamana(atfs): Sheikh tusi, ek tauqee me jin ka aqeeda tha ke Khuda ne Qudrate KHALQ, RIZQ aur rozee Aimma(a.s) ke hawale kardi hai, us ke jawab me:

"Khaliq ko jism nahi hona chahiye aur Raziq ko rozi nahi khana chahiye!
Natija yeh hai ke hum chooki shahib-e-jism hain, aur rozi khate hain, lehaza hum na KHALIQ hai na RAAZIQ hai lekin Khuda wand-e-alam ne hamare rutbe ko baland qarar diya hai, wo hamari darkhaasto ko qabool karta hai, lehaza jab hum dua karte hain to wo is ko qabool karta hai, na yeh ke hum khuda se darkhaast ke bagair khud is kaam ki qudrat rakhte ho."

Imam-e-Zamana(atfs): kam AQL, Nadan Shia, aur  jin ki deendari se mazboot machchar ke balo par hote hai mujhe aziyat dete hai.

Imam-e-Zamana(atfs): Jo Mosiq (Mo'atabar) ravi tumhare liye hum se ravayat naql karte hai un me shak dalne ke silsile me hamare shio me kisi ka uzr(qabool) nahi
(jab tak galat sabit hone ka ilm na ho)

Tabarsi me hai Hazrat Esa (a.s) murdo ko apni dua se zinda karte the aur Allah(SWT) bhi unki dua ko mustajaab farmata tha (Al Jamaul Bayan Jild:3 P:375)

Eriza: Imam-e-Asr ki khidmat me Tawassulat aur istegaasu ki qismo me se ek qism hai.(ref: Imamat aur gaibat)

Holy Prophet(SAW): Allah(SWT) se is wajah se mohabbat karo ke wo tumhe rizq ata karta hai aur mujhe Allah(SWT) ki mohabbat ke wajah se dost rakho, mere Ahle bait(a.s) se meri wajah se mohabbat karo.


[Pickthal 13:14] Unto Him is the real prayer. Those unto whom they pray beside Allah respond to them not at all, save as (is the response to) one who stretcheth forth his hands toward water (asking) that it may come unto his mouth, and it will never reach it. The prayer of disbelievers goeth (far) astray.

[Pooya/Ali Commentary 13:14]

Without belief in Allah worship or prayer has no meaning at all. To call any created being directly for fulfilment of needs and desires has been prohibited, but to seek the medium of the approved intercessors is not forbidden.
"Seek the means of approach unto Him." (Ma-idah: 35)


Dua:
Imam Ali bin Husayn al Zayn al Abidin has said that the bounties, Allah bestows on any person, are never taken away, but in consequence of certain sins:

(i) Disobedience to the virtuous, pride, ridiculing others, (these result in withdrawal of bounties and turn the sinner into a hardened transgressor.)

(ii) Going to bed before praying Isha salat, sleeping at the time of Fajr salat, thinking lightly of the bounties of Allah, complaining to others against Allah. (these reduce the means of sustenance to the minimum.)

(iii) Swearing false oaths, uttering lies, adultery, obstructing the way of the Muslims, false claims, misappropriation of a trust, not helping the aggressed and oppressed, not preaching pursuance of good and abstinence from evil. (these bring down calamities.)

(iv) Practising iniquity and wickedness, legalising that which is forbidden, obedience to the wicked and revolting against the virtuous, drunkenness and gambling, using jests and jokes to stimulate ridicule of others. (these give an upper hand to the enemies.)
Note: Shio ka ek fariza ye bhi hai ke Aimma(A.S) ko istarah maane jis tarah se hain, na Aam logo ki tarah maane na unki azmat ghatai (kam kare) aur na Khuda ki qudrat , sifat wagera me un ko shareek qarar de.

Quran Kahta hai, ke Aksar log Guman ki pairavi karte hai, halake guman haq ke muqaabil me kutch kaam nahi ane wala hai. Aur kahta hai Har baat ki daleel hoti hai agar tum sachche ho to daleel pesh karo.


Popular posts from this blog

Kya Rahib aur fitrus farishta ka waqia sahih hai?

क्या फरिश्ता फितरुस और राहिब का वाक्य सही है? کیا فرشتہ فطرس اور راہب کا واقعہ صحیح ہے؟ Kya Rahib aur fitrus farishta ka waqia sahih hai? Yeh sawal hum ne Grand Ayatullah Shaikh Muhammad Hussain Najafi se December 2012 me kiya tha, unka jawab yaha attached kiya gaya hai Waqia of Fitrus:  When Imam Husain (AS) was born, Allah sent down the angel Jibrail (AS) to congratulate the family.On the way down from the heavens angel Jibrail (AS) passed an island, on which the angel Fitrus was sent to by Allah because he had been naughty. Fitrus had also had his wings taken away by Allah.When Fitrus saw Jibrail (AS) he asked him where he was going. Jibrail (AS) told him that he was going to congratulate the Holy Prophet (SAW) and his family on the birth of Imam Husain (AS).Fitrus asked if he could also go with him. Jibrail (AS) agreed with the permission of Allah and so carried him down to earth.When the angels reached the Holy Prophet (SAW) and congratulated him and his fa...

Eid-ul-Adha

Eid is a special occasions and one of the things which makes it so is the Eid-ul-Adha congregational prayer. Eid prayer consists of two units (Rakat in Arabic, singular is Raka). The main difference in the way this prayer and any other prayer of two Rakat is performed is the number of Takbirs that are done. मौलाना  मौसूफ़ ने अपनी तक़रीर में हजरत अली (अ.स) की एक हदीस इरशाद फरमाई के " उस वक़्त से डरो जब तुम्हारी हर दुआ कबूल होने लगे" ..... और इसकी तफसीर बयान की और उन्होंने कहा कोई शख्स ऐसा नहीं है के जिस से अल्लाह ने सब  कुछ ले लिया हो या सब कुछ  जिसने अल्लाह को दे दिया हो ( मिसाल के तौर पर अपने जान या नींद ) लेकिन जब अल्लाह किसी से मांगे या मुतालबा करे तो हमें चाहिए के हम उसकी इत'अत करे जैसा के शबे हिजरत हजरत अली (अ.स) ने अपनी जान की परवा न करते हुवे बिस्तरे रसूल (स.अ.व.) पर सो गये और हजरत इब्राहीम (अ.स) ने अपनी बेटे की क़ुरबानी पेश की!.    आज काल हमारे यहाँ यह डे वो डे कैंसर की तरह फैल  रहा है जैसे फ्रेंडशिप डे, वलेंतैने डे. हमारा कोई भी तयू...