Marhoom Uncle Mumtaz Basir (All India Radio Retired) |
He had been staying alone in his last time. He likes and loves childrens very much. He gives sweets, books, dress etc to them. Also teach them islamic stories, poems and current affairs etc.
His poems:
Bhare Dibbe me T.C ne Khalifa se ticket maanga
Kaha usne ke tum behad bikat maalum hute ho
Ticket rakhte huwe bhi mujh akele par yeh shak kaisa
Nazar se khupdi se dil se pat maalum hute ho
Kaha T.C ne gusse me shut up o! nonsense o! fool
Mawali, jeb katre, Ediot maalum hute ho
Koi lafdo ho balke chapter shaitaan chouki ke
ke tum dus numberi ho kaya palat maalum hute ho
Aroda jail se bhage ho, Shayad ya ke Nasik se
Tranvancore, Cochi, Kalikat maalum hute ho
Ke tum ek chidda gul khairoo ho, Laffo jhanna dadar ke
Agar matunga me dekho to bhat maalum hute ho
Kahi hajjam patti karte hoge, bas khalifa ho
Yeh barkat bambai ki hai ke vat maalum hute ho
Bade Ustaad ho lagta ho, lagta hai ke malono ke mulla ho
Yeh lambee dadhee, batla qad, churat maalum hute ho
Kahi khuli hai, rashan card hai, koi sadakat hai
koi dekhe to bolega ke nat maalum hute ho
Banaee hogi nakli muhar, likhkha hoga U.S.A
ke tum ulhaas nagari ho gilat maalum hute ho
Kamati pure ki dallali bhi karte the tum pahle
jabi to dekhne me aamlet maalum hute ho
Mujavir tum the, do taki pe bandal shah baba ke
Na ajmeri na bagdaadi, Kuwait maalum hute ho
Agar ho kaanpuri, phir to tum ekka hakate ho
tumhe kaise kahoo, ke pilot maalum hute ho
Bahut dekhe hai Damees hum ne, tum aise traino me
Ho lochebaaz, panggebaz tat maalum hute ho
Military ke bhagode ho, deserter tum ko kehte hai
Tadi paar hone wale ho Fiat maalum hute ho
Duppali topi, gahra surma, kalle me gilauri hai
Agar ho lucknawi to choclate maalum hute ho
Ho Faandebaaz, kaalaa kandi, shayad borbander ke
Adi baazo ke chabadiya, chilat maalum hute ho
Tapori ho, madari ho, pahaadi ho, anaadi ho
Khiladi to nahi, jungle ke jat maalum hute ho
Bade aibee ho aankho se tapakta hai ke khooni ho
batao! kya kiya tha, kyu bullet maalum hute ho
Rapat thane me likhkhi hogi ke tum golpannu ho
Rafu chakkar ho, ghan chakkar dacoit maalum hute ho
Haqiqat chup nahi sakti kabhi jhute usoolo par
Ganjeele, charsee, chandubaaz, gat maalum hute ho
Ghutala karke aye hoge ke mai Visa dilaunga
Thaga kitno ko hoga, chal kapat maalum hute ho
Kiya hai tum ne bhi chara ghutala aisa lagta hai
Ki misle lalo yado rajhat maalum hute ho
Tumhari shakal hi Qudrat ne kutch aisee banaee hai
Ticket rakhte huwe bhi be ticket maalum hute ho
Note:
1. Shaitaan chouki = stop between parel and dadar
2. Tranvancore - Pune
3. Nat = beghar
4. Gilat = nakli chandi
5. Tat = symbol os disappointment
6. Diserter = bhage wala jiski saja maut hai
7. Gat = pipe where urine comes out
8. Jat = jaheel
9. Vat = shaan
10. Thoda sa jalim
11. Churat = cigarrete pine wala
12. Damis = uche darje ka badmaash
13. Chikat = chikpko
Duka me kajju laal ke chori ki khalifa ne
Chabi banake usko di thi number 5 salifa ne
Pakda gaya to saza sunaee metro ki Khfiffa ne
Proof mila tha, witness di thi, govermenti zaeefa ne
Mulchan, goa, manikchand bhara tha usne tahlee me
Chutte paise jeb me rakhkhe, chuna chaddi mailee me
--------------
Jo gadbad huee kutch, to linga ticket mai
Ke phir lucknow jake randa karonga
Waha jate hi ek meeting karonga
Banunga mai neta aur cheating karonga
Bada hoon bikat mai ke hoon mai khalifa
Aur mujhse zyada, bikat yeh zaeefa
--------------
Maee ko baee kahe aur payjame ko lahnga
Jhagda, dange, locha, lafda, sab kahlaye panga
Chori karke bhinddi, gobee, methi palak soya
Maloni se bhaga khalifa dekh kabira roya
--------------
Mulook hai kachocha, karari nahi hai
Kamar me hai chapad, katari nahi hai
Hai tahlee me qiswat, pitari nahi hai
Khalifan hai meri tumhari nahi hai
--------------
Mai bambai me aya hoo dhandha karonga
Duka mai bhi khulunga chanda karonga
Mai hoo naee sab ki hajamat karonga
Badhaunga dadhi khilafat karonga
--------------
Bagdadi dastgiri bhi jilani hanifa
Sandhan hai iski naam hai bi Ashho zaeefa
Pura to shajra iska baya kar nahi sakta
Par dada ke par dada hai es ka hi khalifa
Kholi thi chuna bhatti me aur wahi mazaar
Jiski dawa se mar gaya hai waid salifa