Sughra Ko Rulata Hai Yeh Chand Muharram Ka
Sughra ko rulata hai yeh chand Muharram ka.
Jab samnai aata hai yeh chand Muharram ka.
1) Ham surat-e-Zahra sai bahi kai bicharnai ki
Khatoon-e-qiyamat kai ghar baar ujar nai ki
Rudad sunata hai yeh chand muharram ka.

2) Kata hai gala logo seh roz kai piyasai ka
Pamal huwa lasha Ahmed kai nawasai ka
Haar ik ko batata hai yeh chand Muharram ka.
3) Tasweer dikhata hai Ahmed ki jawani ki
Haar shaks ko dunya main Kerbal ki kahani ki
Tafsir batata hai yeh chand Muharram ka.

4) Karbal ki ziyarat ko jo ankh tarap ti thi
Shabbir terai gham main jo ankh barasti thi
Us ankh ko bhata hai yeh chand Muharram ka.

5) Imran ko shabber ko khatoon-e-qiyamat ko
Haider ki qasam mazhar sarkar-e-risalat ko
Turbat main rulata hai yeh chand Muharram ka.