Sifat-e-Shia
Imam Jafar-e-Sadiq(as): "Hamare Shia parhezgaar, waada wafa karnewale aur amaanat ko lautaane wale hote hain."
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Jafar-e-Sadiq(as): "Ali(as) k Shia apne Khaaliq k liye amal karte hain. Usi se sawaab ki ummid aur azaab ka khauf rakhte hain."
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Ali ar-Reza(as): "Hamare Shia hamara hukm tasleem karte hain aur hamare aqwaal (ahadith) par amal karte hain."
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Jafar-e-Sadiq(as): "Khuda ki qasam! Ali(as) k Shia apne pet aur sharmgaah ko haraam cheezo'n se mehfuz rakhte hain."
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Ali ar-Reza(as): "Shia hum me se hain, unki paidaish hamari mitti se hui hai. Unka dost hamara dost, unka dushman hamara dushman hai"
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Jafar-e-Sadiq(as): "Yaqinan Ali(as) k Shia pet khaali, hont khushk(dry) aur meherbaan hote hain."
[Mishkat ul Anwar, Volume 58]
Imam Jafar-e-Sadiq(as): "Ali(as) ke Shia saahebaane ilm-o-hilm hote hain aur tarke duniya se pehchane jaate hain."
[Mishkat ul Anwar,Vol.58]
Imam Mohammad Baqir(as): "Ali(as) ke Shia kasrat se namaze'n padhte hain, duaae'n maangte hain aur Quran-e-paak ki tilawat karte hain."
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Mohammad Baqir(as):"Ali(as) ke Shia raat ki taariki me zameen ko apna bistar bana lete hain aur uska isteqbaal sajdo se karte hain"
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Mohammad Baqir(as): "Hamare Shia ghareeb padosi,faqeero maqrooz aur yateemo ki zimmedari ko qabool karte hain."
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Mohammad Baqir(as): "Hamara Shia amanaatdaari,waledain k sath neki aur kasrat se zikre Khuda karne se pehchaane jaate hain."
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Mohammad Baqir(as): "Hamare Shia ghareeb padosi,faqeero maqrooz aur yateemo ki zimmedari ko qabool karte hain."
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Mohammad Baqir(as): "Hamara Shia wo hai jo Allah(swt) se darta ho aur Allah(swt) ki itaa'at(obey) karta ho."
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Mohammad Taqi(as): "Ali(as) ke Shia hamari wilayat k daayere me ek dusre par jaan fida karte hain (ek dusre se mohabbat karte hain)."
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Mohammad Taqi(as): "Ali(a) k Shia agar ghazabnaak b ho to zulm nai karte,agar khush-haal ho tab b fuzool kharchi nai karte hain."
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Mohammad Taqi(as): "Ali(as) k Shia apne padosiyo k liye rehmat o barkat aur apne milnewalo k liye sukoon ka sabab rehte hain."
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Mohammad Baqir(as): "Ali(as) k Shia dheemi aawaaz me guftagu karte hain aur unke badan se kisi ki dushmani zaahir nahi hoti."
[Bihar ul-Anwar, Volume 67]
Imam Ali ibne Abu Talib(as):"Namaz-e-Shab padhne se Shia k chehre zard ho jate hain,khaufe Khuda se unki aankhe aansuo se labrez ho jati hain"
[Bihar ul-Anwar, Volume 67]
Imam Mohammad Baqir(as): "Ali(as) k Shia laalchi nahi hote,saada zindagi guzaarte hain aur unka asaasa(saamaan) mukhtasir hota hai"
[Bihar ul-Anwar, Volume 67]
Imam Sadiq(as): "Hamare Shia apna bhaar(load) dusro pe nahi daalte,apne biradare imaani k alawa kisi aur se sawal nahi karte."
[Bihar ul-Anwar, Volume 67]
Imam Sadiq(as): "Kod(leprosy) laanat ki tarha hai,ye na hum mein hoti hai,na hamari aulad mein aur na hamare Shiyo mein."
[Bihar ul-Anwar, Volume 69]
Imam Sadiq(as): "Hamare Shia ache kaam anjaam dene k liye aage badhte hain aur bure kaamo'n se khud ko dur rakhte hain."
[Bihar ul-Anwar, Volume 69]
Imam Kazim(as):"Ay Shiyo! Beshak duniya tumhari dushman hai,bas tum apne aap ko jitna ho sake behtar banakar pesh karo."
[Bihar ul-Anwar, Volume 68]
Imam Sadiq(as): "Hamare Shia neki karte hain,apne Rabb se nazdiki hasil karne ke liye azeem kaarnamo ki taraf aage badhte hain"
[Bihar ul-Anwar, Volume 69]
Imam Sadiq(as):"Hamare Shia 4 cheezo par yaqin rakhte hain:
*Me'raj
*Qabr me sawal-jawab
*Jannat-jahanum ki khilqat
*Shafa'at"
[Bihar ul-Anwar, Volume 69]